Chapter-2
[Shri Krishna ka rishta sbke sath hmesha se hi alag rha tha,kbhi unhone Arjun k sarthi bnke ranbhumi me unki madad ki toh kbhi Unhi k Guru bnke unhe Geeta ka Gyan diaβ¦Kabhi Dronacharya ko guru kehke unka samman kia. Or kbhi dharma ki raksha k liye unhi ko gyan dia . Par sbse alag rishta unka Draupadi k sath thaβ¦Mitrata kaβ¦dosti ka. Krishna unhe sakhi(female friend) kehke bulate the . Or Draupadi Krishna ko Govind . Aaj k iss bhag me hm Ek aisi hi seekh ki baat krege jo Shri Krishna ne apni sakhi Draupadi ko di ].
Panchal desh k Raja Drupad ne Dronacharya se badla lene k liye Devtaon se ek aise putra manga jo Dronacharya ko maar sake..Uske liye Drupad ne ek kathin yagya kia. Yagya poora hone par Yagya ki aag me se hi unke putra Drishtadumya ka janm huaβ¦Par devtao ne Drupad k bina mange hi unko ek beti bhi di β¦Draupadi.. Par Drupad ne usse sweekar nhi kia. Janm k samay ye bat Draupadi ko nhi pta thiβ¦par kuch samay baad jab usse ye bat pta chali β¦toh wo mahal ko chhod kr jane lgi.. or unko rokne k liye Krishna unke picche gae.
Krsihna ne unko pucha ki wo kyu mahal chhod kr jana chahti hain ..is par unhone kaha ..jaha ek beti ko sweekar na kia jae..jaha naari ka samman na kia jae..wha rehke mai kya karu . Draupadi k mann me unke pita k dwara na apnea jane ka dukh tha ..par sath hi sath unke mann me bht se sawal the.
Unke mann me sawal tha ki agar unke pita ne unko manga hi nhi tha toh devtaon ne unko kyu yagya ki agni se prakat kia . Unke jeevan ka udeshya kya h..unka janm akhir hua hi kyu hai.??? Apne mann ke sare sawal unhone Krishna ko btaeβ¦
Iss par Govind ne unse smjhaya ki itne saare sawalo ka uttar dhundne se acha hai..ki ye jaano ki tum kon ho. or jis din iska uttar mil jaega toh saare sawalo ka jawab mil jaega..bs ye sawal ki tum kon ho??
Ye tmhe koi or nhi bta skta ye tmhe khud hi jan na hogaβ¦Unhone smjhaya ki aksar ye sawal hm dusro se puchte hain..ki mai kon hu???hme hmse behtar koi nhi janta..fir bhi hm dusro ki ray jaanne k liye itne utsuk rehte hain.
Sach hi kaha unhone kitni hi baar hm dusro se unka point of view puchte hain or maan bhi lete hain . Hm jante hain ki hmne kisi kam ko bht behtar dhang se kia hai..fir bhi dusro se puchte hain ki kaisa kia maine???. Or uske jawab sunke hm khud k kam par hi shaq krne lgte hain . Kitni baar dusro ki baat sunkar hm khud ki kabiliyat pe shaq krte hain . Dusro k kahe jaane pe hm khud ko sundar nhi mante..jabki sacchai sirf hm jante hain. Fir bhi kyu dusro ki bate hme itna affect krti hain .
Shri Krishna ne Draupadi ko yhi smjhaya tha ki Agyan ki rakh me aatma ki surat nhi dikhai deti . Jo khud nhi janta ki wo kon hai wo hme kaise bta skta hai ki hm kon haiβ¦or hm aise agyani vyakti ki baat kaise maan skte hain..
7
Trueππ
π π
Very educational for society. Keep continued.