Kya ye neend bhi tumhari hai~ By Pooja Mishra
Bin Tumhare kabhi nahi aayi,
kya ye neend bhi tumhari hai.
Tumhare bina bahut shor karti hain,
Kya ye dhadkane bhi tumhari hain.
Din dhalte hi raat aa jati hai
Kya meri shaame bhi tumhari hain
Tumhare siva kuch soojhta hi nahi,
saari yaadein bhi tumhari hain.
Tumhare bina gumm ho jati hai,
Kya meri muskuraahat bhi tumhari hai
Tum na milo toh khaamosh rehti hu,
Meri baatein bhi tumhari hain.
Kisi bhi chiz ki icchha nahi hoti,
kya meri chahte bhi tumhari hain.
Aaina dekhu toh tmhe paati hu,
Meri jhalak bhi tumhari hai.
Tum hi tum kyu dikhte ho,
kya nazar bhi tumhari hai.
Tumhare bina pareshan ho jati hu..
Kya meri uljhane bhi tumhari hain.
Mera mujhme kuch na bacha..
Ha ye zindagi bhi tumhari hai
8
Very emotional feelings.. After reading this.
??